Apni Aazaadi Ko Hum Lyrics - Leader (1964) Ft. Mohammed Rafi
Apni Aazaadi Ko Hum Lyrics From Leader (1964): Sung by Mohammed Rafi and Composed by Naushad.
- Song: Apni Aazaadi Ko Hum
- Singer: Mohammed Rafi
- Lyrics: Shakeel Badayuni
- Music: Naushad
Hargiz mita sakte nahi
Sar kata sakte hai
Lekin sar jhuka sakte nahi
Humne sadiyon mein yeh
Aazaadi ki nemat paayi hai
Humne ye nemat paayi hai
Saikdon qurbaniyan de kar
yeh daulat paayi hai
Humne ye daulat paayi hai
Muskura kar khayi hai
Seeno pe apne goliyaan
Seeno pe apne goliyaan
Itne veerano se guzre hai
To yeh jannat paayi hai
Khaak mein hum apni izzat ko
Mila sakte hai
Apni aazaadi ko hum
Hargiz mita sakte nahi
Kya chalegi zulam ki
Ahele wafa ke saamne
Ahele wafa ke saamne
Aa nahin sakta koi shola
Hawaa ke saamne
Shola hawa ke saamne
Laakh fauje leke aaye
Aman ka dushman koi
Laakh fauje leke aaye
Aman ka dushman koi
Ruk nahin sakta hamari ekta ke saamne
Hum wo pathar hai
Jise dushman hila sakte nahi
Apni aazaadi ko hum
Hargiz mita sakte nahi
Sar kata sakte hai
Lekin sar jhuka sakte nahi
Sar jhuka sakte nahi
Waqt ki aawaaz ke
Hum saath chalte jayenge
Hum sath chalte jayenge
Har qadam par zindagi ka rukh badalte jayenge
Hum rukh badalte jayenge
Gar watan mein bhi milega
Koi gaddar-e-watan
Koi gaddar-e-watan
Apni takat se hum uska sar kuchalte jayenge
Ek dhoka kha chuke hai
Aur kha sakte nahi
Apni aazaadi ko hum
Hargiz mita sakte nahi
Vande matram, vande matram, vande matram
Hum vatan ke naujawan hai
Humse jo takrayega
Humse jo takrayega
Wo humari thokaron se
Khaak mein mil jayega
Khaak mein mil jayega
Waqt ke toofan mein beh jayenge zulm-o-sitam
Aasmaan par ye tiranga
Umr bhar lehraayega
Umar bhar lehraayega
Jo sabak bapu ne sikhlaya bhula sakte nahi
Sar kata sakte hai
Lekin sar jhuka sakte nahi
Sar kata sakte hai
Lekin sar jhuka sakte nahi
Apni Aazaadi Ko Hum Lyrics - Leader (1964) Ft. Mohammed Rafi
Reviewed by Admin
on
22:35
Rating:
