Khamoshiyan (Title Song) Lyrics - Sung by Arijit Singh
- Movie Title: Khamoshiyan (2015)
- Song Title: Khamoshiyan Title Song
- Singer: Arijit Singh
- Lyrics Penned : Rashmi Singh
- Music Composer: Jeet Gannguli
- Features: Ali Fazal, Sapna Pabbi & Gurmeet Choudhary
Khamoshiyan Title Song Lyrics:
Khamoshiyan aawaaz hain
Tum sun'ne to aao kabhi
Chhukar tumhe khill jaayengi
Ghar inko bulaao kabhi
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zaraa..
Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan..
Kya uss gali mein kabhi tera jaana hua
Jahaan se zamaane ko guzre zamaana hua
Mera samay toh wahin pe hai thehra hua
Bataaun tumhe kya mere sath kya kya hua..
Khamoshiyan ek saaz hai
Tum dhun koi laao zaraa
Khamoshiyan alfaaz hain
Kabhi aa gunguna le zara
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zaraa.. haa..
Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan..
Nadiya ka paani bhi khamosh behta yahaan
Khili chandani mein chhipi lakh khamoshiyan
Baarish ki boondon ki hoti kahaan hai zubaan
Sulagte dilon mein hai khamosh uthta dhuaan..
Khamoshiyan aakaash hai
Tum udne toh aao zara
Khamoshiyan ehsaas hai
Tumhe mehsoos hoti hai kya
Beqarar hain baat karne ko
Kehne do inko zara.. haa..
Khamoshiyan.. teri meri khamoshiyan
Khamoshiyan.. lipti hui khamoshiyan..
Khamoshiyan (Title Song) Lyrics - Sung by Arijit Singh
Reviewed by Admin
on
21:43
Rating:
Reviewed by Admin
on
21:43
Rating:
