Main Tujhse Pyaar Nahin Karta Lyrics | Baby (2015) | Papon & MM Kareem
Main Tujhse Pyaar Nahin Karta Lyrics from Baby (2015) Film: It is soft and heart touching song sung by Papon,Features:Akshay Kumar & Madhurima Tuli. The song Composed by MM Kreem and lyrics penned by Manoj Muntashir.
Lyrics:
Main tujhse pyar nahi karta
Main tujhse pyar nahi karta
Par koi aisi shaam nahin
Jab main apni tanhai mein
Tera intezar nahin karta
Main tujhse pyaar nahin karta
Dil se ye kehta rehta hoon
Par teri saanson mein chhup ke
Main saansein leta rehta hoon
Is se inkaar nahin karta
Main tujhse pyaar nahin karta
Mujhe kuch bhi yaad nahi rehta
Kab din dooba kab raat hui
Abhi kal ki baat hai
Pehron tak meri deewaaron se baat hui
Jo hosh zaraa sa baaki hai
Lagta hai khone waala hoon
Afwaah udi hai yaaron mein
Main pagal hone waala hoon
Main tujhse pyaar nahin karta
Mein tujhse pyaar nahi karta
Mein tujhse pyaar nahi karta
Par aisa koi din hai kya???
Jab yaad tujhe teri baaton ko
Sau-sau baar nahi karta
Sau-sau baar nahi karta
Main Tujhse Pyaar Nahin Karta Lyrics | Baby (2015) | Papon & MM Kareem
Reviewed by Admin
on
21:23
Rating:
